Makhloot Taleem (Co-Education)

Taleem Zaroori Hai Lekin Taleemo Ta'allum Ka Jo Tariqa Schools Aur Colleges Mein Aaj Kal Raayij Hai Wo Bilkul Durust Nahin Hai
Baligh Ladko Aur Ladkiyo Ko Ek Saath Bithaya Jaata Hai, Parda Naam Ki Koi Cheez Nahin Hoti, Dekhne Aur Baat Karne Ki Aazadi Hoti Hai, Ye Sab Baatein Fitno Ki Jad Hain

Afsos Hai Un Musalmano Par Jo Apni Betiyo Ko Schools Aur Colleges Ke Gande Mahaul Mein Bhej Kar Un Ki Zindagiyo Ko Tabaah Karte Hain

Baligh Ladko Aur Ladkiyo Ki Makhloot Taleem (Co-Education) Sarasar Najayezo Haraam Hai Kyunki Baligh Ladkiyo Ka Ajnabi Mard Se Parda Hai Agarche Wo Ustaad Hi Ho Aur Isi Tarah Baligh Ladko Ka Baligha Ajnabiya Aurat Se Parda Hai

Nabiye Kareem ﷺ Ne Farmaya :

Momin Ka Aurat Ke Mahasin Ki Taraf Nazar Karna Shaitan Ke Zehar Se Bujhe Huye Teero Mein Se Ek Teer Hai, Jo Allah Ta'ala Ke Khauf Aur Sawab Ki Ummeed Se Aurat Ki Taraf Dekhne Se Baaz Raha To Allah Ta'ala Use Aisi Ibadat Ata Farmaye Jis Ki Lazzat Wo Payega

(حلیۃ الاولیاء، ج6، ص101 بہ حوالہ فتاوی یورپ و برطانیہ، ص474)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post