Aapko Kaunsi Kitab Roman Urdu Mein Chahiye? 


Kai Log Humare Paas Aate Hain Ke Fulaan Fulaan Kitab Roman Urdu Kar Dijiye, Humari Unse Guzarish Hai Ke Pehle Kaam Ko Samjhein Uske Baad Aakhir Mein Humari Kuchh Baato Par Ghaur Kijiyega

Dekhein Ye Itna Aasan Kaam Bhi Nahin Hai Ke Kisi Kitab Ko Fauran Roman Urdu Mein Kar Diya Jaaye, Is Mein Bahut Mehnat Lagti Hai Jiski Thodi Tafseel Kuchh Yun Hai Ke Agar Koi Banda Tez Raftaar Mein Typing Karta Hai To Ek Darmiyana Safhe (Page) Ko Kam Se Kam 6-7 Minutes Mein Type Kar Payega Aur Agar Safha Bada Hua Ya Us Mein Words Zyada Hue To 9-10 Minutes Bhi Lag Jaate Hain Phir Kisi Safhe Mein Arabi Ibaraat Waghaira Type Karni Hoti Hain Phir Poore Page Par Nazre Saani Yaani Ek Safhe Mein 8 Minutes Maan Kar Chalein To Sirf 8 Safhe Karne Mein 1 Ghante Se Zyada Lagte Hain, Ab Agar Koi Rozana 3-4 Ghante Lagataar Typing Karta Hai To Kitni Kar Payega? Aur Ab Aap Hi Andaza Laga Lijiye Ke Ek Kitab Kitne Dino Mein Type Hogi? 


Ab Chaliye Typing Ho Gai, Isse Aage Badhte Hain, Uski Composing Karna Yaani Kitabi Saanche Mein Dhaalna Phir Uske Liye Cover Design Karna Aur Ek Final Soft Copy Tayyar Karna Kaafi Waqt Leta Hai, Jo Ye Kaam Karte Hain Wo Ise Achhi Tarah Samajhte Hain Par Jo Nahin Jaante Wo Ise Humare Dehaat Ke Mutabiq "Daal Bhaat" Samajhte Hain (Yaani Ye Bahut Aasan Hai) 


Is Mein Mazeed Tafseelaat Bhi Hain Jo Bareek Hain Lihaza Unhein Yahan Bayaan Nahin Kiya Gaya Hai Ke Sab Samajh Nahin Sakte, Faqat Moti Moti Baatein Saamne Rakhi Gai Hain

Ab Aakhir Mein Aapse Arz Hai Ke Agar Aap Kisi Kitab Ki Farmaish Karte Hain To Achhi Baat Hai Lekin Sirf Farmaish Karna Kaafi Nahin, Kaam Bhi Karein Aur Humari Madad Karein Taaki Aapki Farmaish Poori Ki Ja Sake, Hum Jaante Hain Ke Wo Faqat Aapki Farmaish Nahin Balki Kai Logon Ki Hai Aur Kaam Ho Jaane Ke Baad Kai Log Usse Faida Uthayenge Aur Hum Bhi Yahi Chahte Hain Ke Ye Kaam Kiya Jaaye Lekin Wasail Aur Zaraye Mahdood Hain, Hum Pehle Se Hi Kai Kitabo Par Kaam Kar Rahe Hain Aur Har Kisi Ki Farmaish Poori Nahin Kar Sakte Lihaza Aapko Bhi Saath Dena Hoga Aur Wo Is Tarah Ke Aap Jis Kitab Ko Roman Urdu Mein Karna Chahte Hain Use "Khud Roman Urdu Mein Likh Kar Humein Bhej Dein" Baaqi Publish Karne Ka Kaam Humara Hoga Aur Agar Ye Nahin Kar Sakte To "Kisi Se Use Type Karwa Dein" Aur Phir Humein Bhej Dein Aur Agar Ye Bhi Nahin Kar Sakte To Humare Paas Ujrat Par Kaam Karne Waale Kai Log Hain Jinhein Raqam De Kar Aap Kisi Bhi Kitab Par Kaam Karwa Sakte Hain To Raqam Ka Intezam Farma Dein Aur Agar Ye Bhi Nahin Kar Sakte To Aapki Farmaish Hum Tak Aa Chuki Hai, Agar Hum Se Ho Saka To Zaroor Us Par Kaam Karenge Aur Na Kar Sake To Mazrat Khwah Hain, Humne Apni Majboori Bayaan Kar Di Hai


Ek Baat Ye Keh Kar Is Tehreer Ko Mukammal Karna Chahta Hoon Ke Awaame Ahle Sunnat Aise Tameeri Kaamo Ke Liye Apna Maal Kharch Nahin Karna Chahti, Aksariyat Ka Haal Ye Hai Ke Wo In Kaamo Ke Liye Do Qadam Pichhe Rehte Hain Aur Yahin Baat Aa Jaaye Jalse, Juloos, Urs, Langar Waghaira Ki To Chaar Qadam Aage Dikhai Dete Hain Aur Laakho Karodo Ko Sau Do Sau Rupay Ki Tarah Uda Dete Hain 

Ek Taqreer Karne Waala 10-15 Taqreerein Kar Ke, Ek Naat Khwan Kuchh Naatein Padh Kar Aur Naqeeb Waghaira Hansi Mazaaq Kar Ke Awaam Se Badi Badi Raqam Le Jaate Hain Tameeri Kaam Karne Waale Poori Umr Apeel Karte Reh Jaate Hain Par Gine Chune Log Aage Aate Hain Aur Phir Kaam Hota To Hai Par Kaise Hota Hai Ye Karne Waale Hi Jaante Hain Jaise "Qabr Ka Haqeeqi Haal Murda Jaanta Hai


Abde Mustafa Official

1 Comments

Leave Your Precious Comment Here

  1. Assalamu alaikum, meri ek guzarish hai ki aap aala hazrat rahmatullahi tala alaih ka ek kalam QASEEDA-E-MERAJ agar uske kalam ki explanation ke sath roman urdu me shaya krde to badi meharbani aap ki. Jis tarah aap ne sharah e kalame raza shaya kiya hai usi tarah ye kr de.

    ReplyDelete

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post