Ghause Paak Aur Hazrate Owais Qarni - Ek Waaqiya


Ek Waaqiya Kuch Is Tarah Bayan Kiya Jaata Hai Ke Jab Hazrate Umar Farooq Aur Hazrate Ali Radi Allahu Ta'ala Anhuma Owais Qarni Se Mulaqat Karne Ke Liye Tashreef Le Gaye To Unse Farmaya Ke Humari Maghfirat Ke Liye Dua Farmayein Aur Is Ummat Ki Bakhshish Ke Liye Bhi Dua Farma Dein. Hazrate Owais Qarni Ne Dua Farmayi Ke Ya Allaah Is Ummat Ko Bakhsh De, Aasman Se Nida Aayi Ke Maine Aadhi Ummat Ko Bakhsh Diya Is Par Hazrate Owais Qarni Ne Arz Kiya Ke Ya Allaah Aadhi Hi Kyon? Poori Ummat Ko Bakhsh De Nida Aayi Ke Aadhi Ummat Ko Maine Teri Dua Se Bakhsh Diya Hai Aadhi Ummat Ko Abdul Qadir Ki Dua Se Bakhsh Doonga. Arz Ki Ke Yeh Andul Qadir Kaun Hai? Farmaya Ke Mera Wali Hai Aur Is Ummat Mein Paida Hoga, Uska Qadam Tamam Waliyo Ki Gardano Par Hoga. Yeh Sunkar Hazrate Owais Qarni Ne Kaha Ke Meri Yeh Gardan Aaj Hi Unke Liye Haazir Hai, Main Abhi Apna Sar Unke Liye Jhukata Hoon.


Allaah Ta'ala Humare Muqarrireen Ke Haal Par Reham Farmaye. Ye Muqarrireen Be Lagam Ho Chuke Hain. Jo Chahte Hain Bayan Karte Hain. Jo Likha Hai Wo Bhi Aur Jo Nahi Likha Hai Wo Bhi, Dono Ko Mila Jula Kar Bayan Karte Hain. Ab Ye Riwayat Na Jaane Inhein Kis Kitab Mein Mil Gayi. Agar Kisi Kitab Mein Hai Bhi To Us Kitab Ki Haisiyyat Kya Hai, Pata Nahi. In Sab Baato Se Unhein Matlab Hi Nahi Hai. Inhein To Bas Aisi Riwaayat Chahiye Ke Jis Mein Kuch Naya Ho. Ye Riwaayat To Jis Ne Bayan Ki, Daleel Dena Us Par Laazim Hai Albatta Humare Akabir Ulama Ke Darmiyan To Ye Ikhtilaf Tak Maujood Hai Ke Hazrate Owais Qarni Ka Wujood Tha Ya Nahi, Baaz Akabireen Ne Is Ka Inkar Kiya Hai (Allahu Akbar) Batane Ka Maqsad Ye Hai Ke Ek Taraf Ilmi Ikhtilafat Mein Ye Baatein Maujood Hain Aur Doosri Taraf Humare Muqarrireen Hain Ke Kuch Bhi Bayan Kar Dete Hain, Ilmi Bareekiyo Se Unka Door Ka Wasta Nahi Hai. Ek Wajah Ye Bhi Hai Ke Humare Naujawan Bad Mazhab Firqo Se Mutassir Ho Rahe Hain. Ek Padha Likha Tabqa In Sab Cheezon Se Nafrat Karne Laga Hai. Ab Zaroorat Hai Ke Ilmi Bayanat Diye Jaayein Aur Aise Qisse Kahaniyo Ko Bayan Karne Se Tauba Ki Jaaye. Kaash Ki Humare Muqarrireen Is Baat Ko Samjhein.


Abde Mustafa

Muhammad Sabir Qadri

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post