Karein To Karein Kya?


Koi Kehta Hai Ke Rafziyo Aur Tafzeeliyo Ka Fitna Bahut Tezi Se Phail Raha Hai, Inka Radd Karna Bahut Zaroori Hai... 

Koi Kehta Hai Ke Mulhideen (Atheists) Ka Fitna Wahabi Aur Deobandi Se Zyada Khatarnak Hai Aur Jis Tarah Ye Sar Utha Raha Hai, Isko Kuchalna Bahut Zaroori Hai... 

Koi Kehta Hai Ke Irtedad Humare Liye Sabse Bada Mas'ala Hai, Humari Qaum Ki Ladkiyo Ko Murtad Banaya Ja Raha Hai, Iski Rokthaam Waqt Ki Zaroorat Hai... 

Koi Kehta Hai Ke Sulhekulliyat Sabse Khatarnak Fitna Hai, Isse Logon Ko Aagah Karna Behad Zaroori Hai... 

Koi Kehta Hai Ke Akabireen Ki Kitabo Par Kaam Karna Bahut Zaroori Hai Warna Asal Ilmi Sarmaya Zaaya Ho Jayega Aur Jahalat Bahut Badh Jayegi...

Koi Kehta Hai Ke Musalmano Ko Apne Schools, Colleges Aur Universities Ka Banana Bahut Zaroori Hai Warna Humare Bachhe Isi Tarah Ghairo Ke Paas Jaate Rahe To Unhein Maghribiyat Se Mutassir Hone Se Bachaya Nahin Ja Sakta... 

Koi Kehta Hai Ke Madaris Ka Nizaam Achha Karne Ki Zaroorat Hai Taaki Achhe Ulama Tayyar Ho'n... 

Koi Kehta Hai Ke Ek Studio Banane Ki Zaroorat Hai Jahan Ulama -E- Ahle Sunnat Ko Bula Kar Har Mauzu Par Tabadla -E- Khayaal Karwaya Jaaye Aur Use Aam Kiya Jaaye Taaki Wahabiyo Ke Banaye Hue Aise Saikdo Channels Ka Muqabla Kiya Ja Sake... 

Koi Kehta Hai Ke Shadi Biyaah Mein Fuzool Kharchi Ko Rokne Ke Liye Tehreek Chalai Jaaye... 

Koi Kehta Hai Ke Bepardagi Ko Rokne Ke Liye Kuchh Kiya Jaaye... 

Koi Kehta Hai Ke Musalmano Ke Liye Apne Hospitals Waghaira Banaye Jaayein...

Koi Kehta Hai Ke... 

... 

... 

Poori Kitab Ban Sakti Hai, Agar Humne Likhna Shuru Kiya To Lekin Isi Par Bas Karte Hain

Har Taraf Kaam Ki Zaroorat Hai, Maidano Pe Maidan Khali Pade Hain, Baatein Karne Waalo Se Dunya Bhari Padi Hai Aur Kaam Karne Waale Ungliyo Pe Gine Ja Sakte Hain

Har Taraf Jaise Jung Ka Mahaaz Khula Hua Hai Aur Ladne Waale, Jiddo Jehad Karne Waale Nazar Hi Nahin Aate, Ab Aise Mein Jo Kaam Kar Rahe Hain Wo Kabhi Kabhi Ye Soch Kar Ek Alag Hi Kaifyat Mein Chale Jaate Hain Ke... Aakhir Karein To Karein Kya? 


Abde Mustafa

Muhammad Sabir Qadri

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post