Durre Yateem

Rasoolullah ﷺ Ko Durre Yateem Kehne Ka Hukm Bayan Karte Hue Allama Mufti Muhammad Ismail Husain Noorani Likhte Hain:
Huzoor Purnoor Sayyid Al-alamin Muhammadur Rasoolullah ﷺ Ko Durre Yateem Kehna Shar'an Jaiz Hai. "Durr" Moti Ko Kahte Hain Aur "Yateem" Aisi Cheez Ko Kehte Hain Jo Apni Zaat Mein Munfarid, Yakta Aur Be-misal Ho. Allama Qurtubi Maliki Rahimahullah Farmate Hain: Yateem Ka Lafz "Yutm" Se Maakhuz Hai, Iska Bunyadi Maani Hai: Munfarid Aur Yakta Hona. Jo Bacha Apne Baap Se Juda Ho Jaye Use Yateem Kaha Jata Hai Aur Aisa Manzoom Kalam Jis Ke Aage Peechhe Mazeed Ashaar Na Hon, Use Baite Yateem Kehte Hain Aur Aisa Moti Jo Be-misal Ho, Use Durre Yateem Kehte Hain. 
(Tafseer Al-qurtubi, Al-baqarah: 83)

Allama Syed Mahmood Aalusi Hanafi Baghdadi Rahimahullah Farmate Hain:
Yateem "Yutm" Se Maakhuz Hai, Iska Bunyadi Maana Hai: Munfarid Aur Yakta Hona. Is Maana Ke Aitibar Se Yeh Lafz Har Us Cheez Ke Liye Bola Jata Hai Jis Ki Misal Ka Milna Mushkil Ho, Jaise Be-misal Moti Ko Durre Yateem Kaha Jata Hai. 
(Ruh Al-ma'ani, Al-nisa: 2)

In Ibaraat Se Yeh Baat Wazeh Hogayi Ke Durre Yateem Mein Yateem Ka Lafz Be-misali Ke Maane Mein Hai, Yaani Aisa Moti Jis Ki Koi Misal Na Ho. Is Liye Nabiye Akram ﷺ Ko Durre Yateem Kaha Jata Hai. Kyun Ke Aap Ko Allah Ta'ala Ne Har Aitibar Aur Har Jihat Se Makhluq Ke Har Har Fard Par Be-misali Ka Darja Ata Farmaya Hai. Chunanche Ek Mauqe Par Aap Ne Sahaba-e-kiraam Radi Allahu Anhum Ajma'een Se Farmaya: Main Tum Mein Se Kisi Ki Misl Nahi Hoon. (Sahih Bukhari: 1961)

Be-misali Ke Is Buland-o-bala Martaba Ki Wajah Se Aap Ko Durre Yateem Ke Laqab Se Yaad Kiya Jata Hai. 
Allama Sawi Maliki Rahimahullah Kamale Sarahat Ke Sath Farmate Hain: Yateem Ka Lughavi Maana Munfarid Aur Yakta Hona Hai, Isi Maana Mein Be-misal Moti Ko Durre Yateem Kehte Hain Aur Sarwar-e-kainat ﷺ Ko Bhi Iss Be-misali Ki Wajah Se Yateem Ki Sifat Se Muttasif Kiya Jata Hai. 
(Tafseer Sawi, Al-nisa: 2)

(Dekhein Anwar Al-fatawa, Page 116 And 117)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post