Ek Sahabiya ka talaq mangna - Manghadat qissa
Sahih Muslim shareef ka hawala de kar ye waqia bayaan kiya jaata hai ke ek sahabiya raat bhar apne shauhar ke liye paani le kar khadi rahi aur jab subah shauhar ne dekha to khush ho kar inaam mangne ka hukm diya, Biwi ne inaam mein talaq maangi aur wajah ye batai ke main aapke saath kai saalo se hoon aur aapko kabhi sar mein dard tak nahin hua aur maine suna hai ke jise takleef na pahunche uska imaan kamzor hota hai, phir wo dono apna muamla le kar bargahe Risalat ﷺ mein jaane lage to raste mein Sahabi gir gaye aur paaon mein chot lag gai, Biwi ne kaha ke ab faisla ho gaya hai aur wo wapas aa gaye (Yaani ab tumhein takleef pahunchi hai to saabit ho gaya ke imaan kamzor nahin)
Ye qissa social media par bahut aam kiya gaya hai hatta ke ek baar to ek Mufti Saahib ne bhi mujhse bayaan kiya (agarche unhone ye bata diya ke muslim shareef ke hawale ke saath unhein kahin se mila hai), Kuchh logon ne ise record kar ke YouTube par daal diya hai aur un videos ko dekhne waalo ki tadaad laakho mein hai
Ye waqia Muslim shareef mein kahin nahin mila, Kai talash karne waalo ne ise talash kiya lekin aisi koi riwayat Sahih Muslim mein nahin hai, Ye qissa manghadat jo kisi ne ghalat hawala likh kar aam kiya hai, Jo log ise bayaan karte hain un par lazim hai ke iska hawala dein warna aisi be asal baato ko Nabiye kareem ﷺ ke zamana -e- mubaraka aur aap ke Sahaba -e- kiraam ki taraf mansoob karne se tauba kare
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here