Kitabein jama karein
Aap agarche aalim nahin ya kitabein padh nahi paate, phir bhi kitabein jama karein, Log apni awlaad ke liye maal kamaate hain, phir use jama karte hain, bada aali shaan ghar banate hain halanki is qadar unhein zaroorat nahin hoti lekin chahte hain ke humari naslein is se faida uthayein, Isi tarah kitabon ko bhi apne gharo mein jama karein
Kitabein agar ghar mein hongi to padhi jayengi, Kitabon ki maujoodgi kai jihato'n se faidamand hai
Har mauzu (topic) par, har zubaan mein kitabein mangwayein, Kitabon ki talash mein rahein, Apne bachcho ko deeni kitabein padhne ka zehan dein, Shuru se hi mutale ki aadat daalein, Is se qaum mein ek inqilab aa sakta hai
Dekha jata hai ke aksar logon ne sahih se dus bees kitabein bhi padhi nahin hoti, Isi wajah se na ilm hota hai aur na shuoor; fikr bhi achhi nahin hoti kyunki mutale se hi fikr ki bhi tameer hoti hai
Humein kam az kam rozana chaalis safhe padhne ki koshish karni chahiye, Ise hum 'Chaliswaan' ka naam dete hain. Ab aap rozana Chaliswaan karein, Ye ek behtareen aghaaz hoga, Kya aap tayyar hain Chaaliswaan karne ke liye? Agar haan toh fauran kitabon ka intikhab karein aur rozana chaalis safhe padhein, Aaiye is 'Mission Chaliswaan' ko farogh dein aur deen mein ek achhe kaam ka aghaaz karein
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadri
December 15, 2023
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here